Monday, November 24, 2014

Tayari jeet ki

Har paath par kathinai hogi,
Bheed nahi, to Tanhai hogi

Akele chalkar thak jayega,
Lekin tu na ghabrayega

Aasan nahi hai path manzil ka,
Har shann hai teri pariksha yeha

Jab tu karega yakeen khudpar,
Duniya ka bhaii na hoga aasar tujhpar

Sirf daarna aapne karmo se,
Na bhagwan aur na daanav se

Tayari puri ho raah ki
Phir mile na mile manzil chaah ki

Koi haar antim na hogi
Jab tak rahe yakeen tujhe jeet ki

2 comments: