Sunday, February 9, 2014

Khamoshi hamesha aasan nahi hoti...


Meri Khamoshi ko meri kamjori maat samajhana, 
Khamoshi hamesha aasan nahi hoti!
Jo shor duniya sun na paye, 
Uss shor ki haqeeqat kabhi kaam nahi hoti!

Jab do taqdeere judi ho saath, 
Haar ek taqdeer ko aapna maakam nahi milta!
Haar jasbaad saache hote hai dil ke, 
Lekin waqt se baada koi intehaan nahi hota!

Khudgarz khushi Afeem si hoti hai, 
Uski  hamein aadat si ho jati hai!
Lekin nasha kitna bhi suhana ho, 
Ek din haqeeqat se samana to hota hi hai!

Us Lamhe mein saab baarbaad ho jata hai, 
Saachai ka aeene mein naasha chur chur ho jata hai!!
Bina shor kiye zindagi tukado mein bikar jati hai,
Aur bikhare tukado ko sawarne mein puri zindagi nikal jati hai!!

Isliye meri Khamoshi ko meri kamjori maat samajhana, 
Khamoshi hamesha aasan nahi hoti!



2 comments: